Dooba Dooba lyrics
by Sez on the Beat
[Intro]
Sez on the beat boi!
[Chorus]
Mai rahu khoya khoya
Dooba dooba dooba dooba
Mujhe bhaye na ye subha bhai
Mai chalu duniya ye leke
Sab Hain Juda juda
Yahan dil se na juda koi
Mai karun jo bhi karm
Karu jaise koi pooja
Na dikhe koi dooja Bhai
Banne chala koi ram koi Raheem
Koi... Khuda
Par hai na koi ajooba bhai
[Verse 1]
Mujhe yaad bhi nahi meri beeti
Zindagi andheri
Ye raag aur Sangeet bas yahi
Zindagi hai meri
Wo ban na paaya Kamal
Iss zindagi me Devi
Jisne andheki kar zindagi
Na gandagi me kheli aye
Bachpan me sab Sahi tha
Khot man me kai nai tha
Hosh nhi tha josh wahi tha
Dhunde man nai nai raah
Waqt beeta kahi gayi baato pe
Socha sahi sahi kaha
Waqt beeta kai nayi baato pe
Bheja sahi nahi tha (khiska)
Raees nahi tha
Haan mujhe to ghisna hi tha
Tha kuch bhi theek na
Sab beetna hi tha
Darshai kabhi peeth na
Haarkar bhi mujhe jeetna hi tha
Throw karta g signs
f*ck the science
Yaha peace signs na (g signs)
East side nahi
Karu Mai north se rise
Mile jo boht se bhai
Sune mujhe gaur se
,hu na Mai is daur se
Hu na Mai iss daud me bhai
Fir bhi ye dhunde bas maukey
Kaise ye roke kaise dein dhokey bhai
Fir bhi na mujhe khauf hai
Jaanta mushkil zindagi maut se bhai
Mere hausley faaslon se bade
Waqt bhale antkaal ko ye badhe
Rang, roop,bhasha dekh ladey
20 se bhi pehle faaslo me khadey
Baadlon ke parey soch ye kahe
Sada ke liye hosh me tu rahey
Aaj tere sab saath me chaley
Baad tere sab raakh hone chaley baawe
[Chorus]
Mai rahu khoya khoya
Dooba dooba dooba dooba
Mujhe bhaye na ye subha bhai
Mai chalu duniya ye leke
Sab Hain Juda judaa
Yahan dil se na juda koi
Mai karun jo bhi karm
Karu jaise koi pooja
Na dikhe koi dooja Bhai
Banne chala koi ram koi Raheem
Koi... Khuda
Par hai na koi ajooba bhai
[Verse 2]
Kisse aur kahaniyan
Bas hisse aur ladaaiyan (hisse)
Itehaas hairaniyaan
Kya meri zimmedariyan ?
Wo bole likhu shayariyaan
Likhu jo guzaari raat
Dil ki sab bhadaas wo sunke kehte
Kehdi bhaari baat waah
Kya dastoor hai ye bata
Karoodo me sab laapta
Karoodo ke abaadi nahi
Karoodo ki ye aapada
Na sunne ko koi tayaar
Kisi ki Kya vyatha
Bas sunne ko kuch hai
Yaar mere sunte falsafa
Sukoon nahi hai
Insaan ko khoon chahiye
Badle ki aag me jhulaste
Dhasti rooh kai hai
Mai na kehta khudko
Bas bawe ki tu sahi hai
Befizooli se par mere
Kuch asool sahi hai
Duniya ka liya na bhaar Maine
Na udhaar maine
Na kiya kabhi upkaar maine
Par dekha hai duniya ko hote
Zaar zaar maine
Mehsoos kiya hai nafrat
Duniya ka pyaar
Jaane kitne vaar Paine
Kitni baar sehne
Bigde Raaz gehre
Dikhte saath behte mere
Kitne saath tere
Kitne hai khilaaf tere
Par nikhre saaz mere
Kuch na hisaab paas mere (behisaab)
Hai matlabi saara jag hai matlabi haan
Shart lagi yahan sab hai matlabi sab
Baatchit Bina laabh dekhe kahi na
Ye sapne bhi apne bhi ajnabi sab
Hai matlabi yaha Mai bhi aur sabhi kya?
Paisa chak, maila sab
Kaisi mat Mari sach
Zindagi ye aisi teri karz bhari aye
Ruke nabz jab bhi kare
Yaad tujhe tabhi sab
[Chorus]
Mai rahu khoya khoya
Dooba dooba dooba dooba
Mujhe bhaye na ye subha bhai
Mai chalu duniya ye leke
Sab Hain Juda judaa
Yahan dil se na juda koi
Mai karun jo bhi karm
Karu jaise koi pooja
Na dikhe koi dooja Bhai
Banne chala koi ram koi Raheem
Koi... Khuda
Par hai na koi ajooba bhai