NIGHT TALKING lyrics
by KALAM INK
Yeah yeah yeah
Aaj pannon mai bikhregi shayari
Dukhega dil, aur aansu bhi aayenge
Aap sunenge shayari meri
Aur hook is gaane ka saath mai gayenge
This pain is too strong
Mai bachpan se seh rha tha ab jaake roya hu
Tere maa baap nhi zinda
Mai jeeteji jeevit maa baap ko khoya hu
Nashe ka aadi tha mai
2006 se jebo mai joint tha
I had a friend jo kehta tha
Nashe ko chhod de, valid woh point tha
He lost his brother to drugs
Aur violence toh uske ghar pe kaafi aam thi
Woh rota tha saath mai mere
Duayen bhi deta, mai kehta khushamdeed
Mai chahta tu sabko duayen de khuda
Farak kya achhe aur bure mai
I pray ki homies get money too
Taaki woh khud ke bill khudi se khudi de
Mai chahta hu unki kamiyaabi
I act like nazar, suraksha-kawach
Ab unko koi nazar nhi lagegi
I'll stand by them forever
Aur farak nhi mujhko ki bandi kya kahegi
Dost ki dua toh dost
Par bhai ki dua har dost ko lagegi
And that's the real sh*t
Mai bhai ko kya hee naseeb du
Woh merese saalon se bada hai
Par jab jab zameen pe gira woh
Tab tab uska mai baap bana hai
I know he acts dumb
Par farak nhi mujhe mai saath mai khadunga
This song is to let him
Tere liye duaein mai dil se karunga
Tu kandhon pe chadh zamana dekh
Promise hai bhai mai girne nhi dunga
Tu galtiyan kar hazar anjane mai
Par jaan ke bura nhi sonchna
Tu khushiyan bhi rakh lena meri
Par dukh maa baap ko dena mat
Tu duniya ko kadmon ke neeche rakh
Aur khud ko dena kabhi udne mat
Mai neeche se sahara banunga
Tu taare upar lena haath mai
Lo gaane ka hook aane wala hai
Aansu hai aankhon mai gaao ab saath mai
Naya rishta ik paida kyu karein ham
Jab bichhadna jhagda kyu karein ham
Khamoshi rakhun in duri mai
Koi hungama bharpa kyu karein ham
Yeh kaafi ke dushman nahi hain
Wafa ka wada kyu karein ham
Wafa mohabbat mai mushkil hai
In lafzon ka peecha kyu karein ham
Munafa jab sabhi ko chahiye
Toh ghaate ko sauda kyu karein ham
Hamari kyu tamanna karo tum
Tumhari kyu tamnna karein ham
Utthake ham fenk de cheezon ko
Fakt kamre mai thaela kyu karein ham
Jab duniya ko hamari fikar nhi
Toh duniya ki fikr kyu karein ham
Aate hain ham bhi us basti se
Kyu bharosa khud pe bhi karein ham
Is dil ko ab aata hai pyaar nhi
Toh khamakha dhong kyu karein ham
Jab aankhon mai aansu nahi hain
Toh khamakha shog kyu karein ham
Jab aankhon mai aansu nahi hain
Toh khamakha dhong kyu karein ham
Yeah Yeah Yeah, Aap aaye nhi
Kal bhi shayad nahi aaoge
Parson ka pata nahi
Shayad narson bhi sataoge
Aaj bhi aap aaye nhi
Kal bhi shayad nahi aaoge
Parson ka pata nahi
Shayad narson bhi sataoge
Anh han, aap aisi ho
Anh han, aap aisi ho
Aap aisi, kyu ho?
Anh han, ohh ho
Tute dil, Tuti jaan
Tere bin, ki kara
Tu hee dil, tu hee meri jaan
Tere bin, kya hee mai kara
[?]
Tu hee hai mera jahan
Tujh bin kya hee mai karan