Once Again lyrics
by JANI
[Verse: JANI]
Mujhe zamanay bhar se kya gila hai?
Meri khush qismati hai ke tu aa mila hai
Lekin, tu mashhoor-e-zamana bhi hai
Yaani tera har ek dil may aaj kal daakhla hai
Tujhe aadat hai bulandiyon ki
Mera zameeni sab se waasta hai (Waasta hai)
Woh tujh tak pohanch paaye naa (No, no)
Bus woh pee-pila kar khaansta hai
Zaheen hoon bus yehi nahi jaanta
Uska kisi aur Khuda par emaan tha
Mujhe paer rakhne ki jagah naa mayassar
Teri gasht ke liye tou aasman tha
Hujoom jama ho raha hai aur mein gaa raha hoon
Mein jata nahi raha bus bata raha hoon
Ke mein bhi kuch hoon ab iss faani duniya may
Mein jhoot bol kar tujhe hansa raha hoon
Duniya aagay nikal gayi aur mein phansa raha hoon
Ke koi tou aaye ga yoon azaad karne
Meri sohbaton may bethte hain chaar janay
Ab raatein kaat deta hoon mein unn chaar may
Tu tanha ek chaand tou gulzar mein
Tum qabar ho kahin tou phir mazaar mein
Agar tum gharri ho, tou intezaar mein
Tujhe baarishеin pasand hain, mujhe uljhan bahar jaanay se
Mein kamray may para, kata zamanay sе
Ab khauf khaatay hain tumhein batane se
Ab khauf khaatay mohabbat sikhaanay se
Agar tum zinda ho, aur tum yeh sun rahi ho
Tou mein yeh tere liye he tou gaa raha hoon
Agar tum mar chuki ho tou phir afsos hai
Ke mein bhi tere paas aa raha hoon
[Chorus: JANI]
Aa phir se bana de ek kahani (Mujhe kya gila hai)
Aa phir se khari kar ek pareshaani (Tu aa mila hai)
Naa jhela jaaye, naa sikhaaye tu (Zamana bhi hai)
Bari mushkil hai zindagani (Dil may daakhla hai)