CarryMinati & Vibgyor - Trigger (Romanized) lyrics

by

Genius Romanizations


[Intro]
Yaar, kal na mujhe ek bohat hi ajeeb sapna aaya (Kya?)
Yaar mere hath mein bandook thi
Aur koi mere saamne haath upar karke khada tha (Accha phir?)

[Verse 1]
Trigger ke dabte gayi jaan saari
Sharp shooter mere pade tumpe bhaari
Chant bannti hai yeh kaali duniya saali
Kaale paison se khareede kaali gaadi
Ab khatam karte hain dalali ki bimari
Haste haste ghaav dete hain yeh atyachari
Bhram mein rehte kehte khud ko brhamchari
Kaale shabd wale brahmchaari lete meri jaankari
Mera pair jaise Angad, bohat bhari!

[Verse 2]
Race mein daudte saare mere hi ghode hain
System ne mere aage haath jode hain
Bhedbhaav karne wale saare gore hain
Desh chalane wale bhi to saare so rahe hain
Mehnat karne wale karte hain hukoomat
Chaar paise kya kamaaye saale jhool mat
Chaante kitne khaaye bachpan mein bhool mat
Mujhe dekh ke salaam kar, ghoor mat!
20 murder ek saal mein
Kaio-ken meri jaat mein
Main darta apne baap se
Main chalta apni raakh pe
Main kehta cheer phaad ke
Jo ukhadna ukhaad le
Underground main na jaanta
Mujhe koi na pehchanta
Main shaktiyon mein na manta
Main chele nahi paalta
Main khaata na udhaar ke
Main jhoothe vote nahi daalta, daalta!
[Bridge]
Ginnte ginnte sikke poore huey 100
Ghisad ghisad ke sharp huey mere claw
Gaate gaate aawaz huyi meri raw
Upar badhti zindagi mein na koi flaw
Yeh gaana nahi hona chahiye flop
Ek din mein na koyi pahunche on top
Lag jaaye inke munh pe full stop
Jab mera bhai kare beat drop!

[Verse 3]
Humari mushkilon ke dhaage sulajhte nahi
Humare sapno ke baadal kyon baraste nahi
Samjhdaaron mein se bhi koi samajhta nahi
Piche se aalu daalne pe sona nikalta nahi
Dekh ke andekha karna kaam inka roz ka
Kya badhiya fayda uthaya hai dono aankhon ka
Janta ka paisa churake kab tak tu bhagega
Barbaad hua poora sansaar ab to maan ja
Khaal chaahe tum kitni bhi ukhaad lo
Chaahe kitno ko bhi tum udhar do
Bharne wale bharte rahenge saari zindagi
Inki zindagi ko bhi thoda sawaar do
Hum se bhi to kabhi thoda sa gyaan lo
Meri baaton par bhi tum thoda sa dhyan do
Dhone se nahi jaati hai yeh mann ki gandagi
Pehle apni aadato ko tum sudhaar lo
[Outro]
Apni aadatein sudhar lo
Apni aadatein sudhar lo
(Apni aadatein sudhar lo)
Apni aadatein sudhar lo
A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z #
Copyright © 2012 - 2021 BeeLyrics.Net