Muhfaad - JIYA LAGE NA (Romanized) lyrics

by

Genius Romanizations


[Verse 1]
Mere paas kala aur sach dono shakti hai
Gyan dena chhod diya duniya ye bachti hai
Karo maaf bolo jai ganga maiyaa ki
Koi baat nahi jaag jaati kabhi kabhi bhakti hai
Log bole maangi kyun maafi
Ganga to maili hai pehle se kaafi
Tumne to bola tha muhavare ki tarah
Yahi log hagein mootein na hai sharam zara bhi
Ashthiyan leke maine dada dadi apne
Ganga mein bahaye dafnayi nahi kafnein
Muhfaad ne muh band kya kiya toh
Sabhi ye log lage kya kya hi bakkne
Gherna to chaha inn sab ne
Socha kalakaar hun lagunga main bhi dabne
Vastav mein nastik main hi to upar wala hun
Paida maa baap ne kiya tha na ki rab ne
Teri aukaat ki jholi mein chillar jama
Anpadh hai soch aur ye jaahil zuban
Besharam pana tu baitha dharam bana
Bhale garam tawa fulke naram tere karam gawah
Muhfaad chup gaurav bole muh pe
Dharam insaniyat kala mein wo doobe
Kalakaar baad mein hai pеhle insan hun
Sala koi kuchh bhi bole de aur main chup rahu!
Kyun bay?
A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z #
Copyright © 2012 - 2021 BeeLyrics.Net