Afreen Afreen lyrics

by

Zeb Bangash


[Verse 1: Rahat Fateh Ali Khan]
Aisa dekha nahi khoobsurat koi
Jism jaise Ajanta ki murat koi
Jism jaise nigahon pe jadoo koi
Jism nagma koi jism khushboo koi
Jism jaise mehakti hui chandni
Jism jaise machalti hui ragini
Jism jaise ke khilta hua ek chaman
Jism jaise ke suraj ki pehli kiran
Jism tarsha hua dilkasho dilnashin
Sandli sandli marmari marmari

[Chorus: Rahat Fateh Ali Khan]
Husan-e-jaana ki tareef mumkin nahi
Husan-e-jaana ki tareef mumkin nahi
Afreen afreen afreen afreen
Tu bhi dekhe agar toh kahe humnashin
Afreen afreen afreen afreen
Husan-e-jaana ki tareef mumkin nahi
Husan-e-jaana ki tareef mumkin nahi

[Verse 2: Momina Mustehsan]
Jane kaisi bandhi tune akhiyon ke dor
Mann mera khicha chala aaya teri aor
Mere chehre ki subah zulfon ki shaam
Mera sab kuch hai piya ab se tere naam
Nazron ne teri chhua toh hai ye jadoo hua
Hone lagi hoon main haseen
Afreen afreen afreen
Afreen afreen afreen
Afreen afreen afreen
Afreen afreen afreen

[Verse 3: Rahat Fateh Ali Khan]
Chehra ek phool ki tarah shadaab hai
Chehra uska hai ya koi mahtaab hai
Chehra jaise ghazal, chehra jaane ghazal
Chehra jaise kali, chehra jaise kanwal
Chehra jaise tasavur bhi, tasveer bhi
Chehra ek khwab bhi, chehra tabeer bhi
Chehra koi aliflailvi dastaan
Chehra ek pal yakeen, chehra ek pal gumah
Chehra jaisa ke chehra kahin bhi nahi
Mahrooh-mahrooh mehjabin-mehjabin

[Chorus: Rahat Fateh Ali Khan]
Husn-e-jaana ki tareef mumkin nahi
Husn-e-jaana ki tareef mumkin nahi
Afreen afreen afreen afreen
Tu bhi dekhe agar toh kahe humnashin
Afreen afreen afreen afreen
Usne jaana ki tareef mumkin nah
(Afreen afreen)
[Sargam: Rahat Fateh Ali Khan]
A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z #
Copyright © 2012 - 2021 BeeLyrics.Net