Aisa Zakhm Diya Hai lyrics

by

Udit Narayan, Aamir Khan & Shankar Mahadevan


Aaaa... aaa.. aaaa..

[Udit Narayan]

Aaya hoon yaaron, dil apna deke
Aankhon mein chehra, kisi ka leke
Woh dil ka kaatil, dilbar hamaara
Jiske liye mein, hua awaara

Milte hi jisne, chooma tha mujhko
Phir na palatke, dekha dobaara...

[Aamir Khan]

Aur isis liye doston
Maine faisla kiya
Ke phir kabhi kisi se pyaar nahi karunga
Kabhi kisi ladki ko apna dil nahi dunga...

[Udit Narayan]

Aisa zakhm diya hai, jo na phir bharega
Har haseen chehre se, ab ye dil daregaa
Hum toh jaan dekar, yunhi mar mitey they
Sun lo aye haseeno, ye humse ab na hoga.. (x2)
Aisa zakhm diya hai...
Raseelay hoonth, chalakte gaal
Mastaani chaal, buraa karde haal
Palak phadke, ke dil dhadke
Umar ki uthaan, kadakti kamaal..

Kaatil ada, zaalim haya
Mere Khuda, mere Khuda
Shola badan, behka chaman
Magar yaaron...

Hum toh jaan dekar, yunhi mar mitey they
Sunlo aye haseeno, ye humse ab na hoga..

Aisa zakhm diya hai, jo na phir bharega
Har haseen chehre se, ab ye dil daregaa
Hum toh jaan dekar, yunhi mar mite they
Sun lo aye haseeno, ye humse ab na hoga..
Aisa zakhm diya hai...

Raseelay hoonth, chalakte gaal
Mastaani chaal, buraa karde haal
Palak phadke, ke dil dhadke
Umar ki uthaan, kadakti kamaal..

Kaatil ada, zaalim haya
Mere Khuda, O mere Khuda
Tu jo kahe toh taaron mein tujhe lekar chaloon
Tu jo kahe toh kadmon mein unhe laa daal doon
Seene se lagaake, ye badan kar doon gulaabi
Chehra choom kar ke, mein banaadoon aaftaabi

Heyyy... hey... la la la la.. laa..
Hum toh jaan dekar, tumpe mar mitey hain
Kaun pyaar tumse, itna karega..

Aisa zakhm diya hai, jo na phir bharega
Har haseen chehre se ab ye dil daregaa
Aisa zakhm diya hai...

Aaya hoon yaaron, dil apna leke
Aankhon mein chehra, kisi ka leke
Koi na koi, mera bhi hoga
Yahi pe kahi, chupaa hi hoga..
A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z #
Copyright © 2012 - 2021 BeeLyrics.Net